| Singer | Prabodh Chandra Dey | 
| Language | Bollywood | 
Nirbal se ladaai balwan ki
 Nirbal se ladaai balwan ki
 Yeh kahani hai diye
 Ki aur tufaan ki
 Yeh kahani hai
 Diye ki aur tufaan ki
 Ik raat adhiyaari thi
 Dishaae kaari kaari
 Mand mand pavan
 Tha chal raha
 Adhiyaare ko mitaane
 Jag me jyot jagaane
 Ek chhota sa diya
 Tha kahi jal raha
 Apani dhun me magan
 Usake tan me agan
 Usaki lau me
 Lagan bhagwaan ki
 Yeh kahani hai
 Diye ki aur tufaan ki
Kahi dur tha tufaan
 Kahi dur tha tufaan
 Diye se tha balwaan
 Saare jag ko
 Masalane machal raha
 Jhaad ho yaa pahaad
 De wo pal me ukhaad
 Soch soch ke zami
 Pe tha uchhal raha
 Ek nanha sa diya
 Us ne hamla kiya
 Ek nanha sa diya
 Us ne hamla kiya
 Ab dekho lilaa
 Vidhi ke vidhaan ki
 Yeh kahani hai
 Diye ki aur tufaan ki
Duniyaa ne saath chhoda
 Mamataa ne mukh modaa
 Ab diye pe yah
 Dukh padane laga
 Par himmat na haar
 Man me marna vichaar
 Atyaachaar ki
 Hawa se ladane laga
 Sar uthanaa yaa jhukana
 Yaa bhalaai me mar jana
 Ghadi aai usake
 Bhi imtehaan ki
 Yeh kahani hai
 Diye ki aur tufaan ki
Phir aisi ghadi aai
 Phir aisi ghadi aai
 Ghanaghor ghataa chhaai
 Ab diye kaa bhi
 Dil laga kaanpane
 Bade zor se tufaan
 Aaya bharta udaan
 Us chhote se diye
 Kaa bal maapane
 Tab diya dukhiyara
 Woh bichaaraa besahara
 Chalaa daav pe lagane
 Baazi praan ki baazi praan ki
 Baazi praan ki baazi praan ki
 Chalaa daav pe
 Lagane baazi praan ki
 Yeh kahani hai
 Diye ki aur tufaan ki
Ladate ladate woh thaka
 Phir bhi bujh na sakaa
 Usaki jyot me tha
 Bal re sachchaai kaa
 Chaahe tha woh
 Kamazor par tuti nahi dor
 Us ne bidaa tha
 Uthaya re bhalaai kaa
 Huaa nahi woh niraash
 Chali jab tak saans
 Use aas thi
 Prabhu ke vardaan ki
 Yeh kahani hai
 Diye ki aur tufaan ki
Sar patak patak
 Pag jhatak jhatak
 Na hataa paaya
 Diye ko apani aan se
 Baar baar vaar
 Kar ant me haar kar
 Tufaan bhaga
 Re maidaan se
 Atyaachaar se
 Ubhar jali jyot amar
 Rahi amar nishaani balidaan ki
 Yeh kahani hai
 Diye ki aur tufaan ki
 Nirbal se ladaai balwaan ki
 Yeh kahani hai
 Diye ki aur tufaan ki.
Music Video Of: Yeh Kahani Hai Diye