| Language | Hindi | 
tum naya ehsaas ho
 jannati barsaat ho..(x2)
dhoop jitni hai subah ki
 utne mere paas ho
 tum haseen lamhaat ho
 raahaton ki baat ho
 khwabon ko rakh ke labon pe
 gungunati raat ho
tum ho.. din ke ujaalo mein bhi
 rabb sa khayalon mein bhi
 tum hardafa ho
 tum ho meri aawaazon mein bhi
 bin bole waadon mein bhi
 tum hardafa ho…
haan saath mein mere raat bitaane
 neend ki tarah aao sirhaane
 tum meri muskaan ho
 tum hi meri jaan ho
 main hoon pal bechainiyon ka
 tum mera aaraam ho…
tum ho din ke ujaalo mein bhi
 rabb sa khayalon mein bhi
 tum hardafa ho
 tum ho meri aawazon mein bhi
 bin bole vaadon mein bhi
 tum har dafa ho…
main behna chaahun tumhi se hoke
 tere hi kinaare mujhe phir roke
 tum meri pehchan ho
 tum hi mera naam ho
 main hoon lamha dopher ka
 tum subah ho shaam ho
 tum ho din ke ujalo mein bhi
 rabb sa khayalon mein bhi
 tum hardafa ho
 tum ho meri aawazon mein bhi
 bin bole vaadon mein bhi
 tum har dafa ho…