| Singer | Yasser Desai | 
| Language | Hindi | 
| Album | Hacked | 
main garmiyon ka din koyi
 tere liye har pal jalun
 tu sardiyon ki shaam hai
 paaun tujhe toh main dhalun
hu zakhm zakhm main
 par marhamon si tu
 dede mujhe tu sukoon
tu jo mili sahara sa mujhko mila
 dooba tha main kinaara sa mujhko mila
 tu jo mili sahara sa mujhko mila
 dooba tha main kinara sa mujhko mila
 mujhko mila, mujhko mila
bin tere main zindagi ke aaine mein
 kitna tha adhoora
 khud ko tujhse jod ke jo maine dekha
 to laga hu poora
main tha jo bhi na tha wo bhi
 ab hu jo bhi shukriya hai tera
 pattharon mein yeh khuda sa
 dhoondhne ka nazariya hai tera
na shakhs main na shakhsiyat
 barson se hu benaam sa
 banzaron sa firta hoon main
 banja na tu ghar ka pata
hu dard dard main
 aur hai dawa si tu
 dede mujhe tu sukoon
tu jo mili sahara sa mujhko mila
 dooba tha main kinara sa mujhko mila
 tu jo mili sahara sa mujhko mila
 dooba tha main kinara sa mujhko mila
 mujhko mila, mujhko mila