| Singer | Arijit Singh, Rochak Kohli | 
| Language | Bollywood | 
Tu jo rootha toh kaun hansega
 Tu jo chhoota toh kaun rahega
 Tu chup hai toh yeh darr lagta hai
 Apna mujhko ko ab kaun kahega
Tu hi wajah…
 Tere bina bewajah bekar hoon main
 Tera yaar hoon main
 Tera yaar hoon main
Aaja ladein phir khilono ke liye
 Tu jeete main haar jaaun
 Aaja karein phir wohi shararatein
 Tu bhaage main maar khaaun
Meethi si woh gaali teri
 Sun’ne ko taiyaar hoon main
 Tera yaar hoon main
 Tera yaar hoon main
 Tera yaar hoon…
Sajna de rang rangaaiyan ve
 Sagna diyan sehnaiyan ve
 Dhol wajange yaar nachange
 Lakh lakh deo badhaiyan ve
Khusiyan ‘ch nachda main phiraan
 Hanjuan ton bachda main phiraan…
O jaate nahi kahin rishte puraane
 Kisi naye ke aa jaane se
 Jaata hoon main toh mujhe tu jaane de
 Kyun pareshan hai mere jaane se…
Toota hai toh juda hai kyun
 Meri taraf tu muda hai kyun
 Haq nahi tu yeh kahe ki yaar ab hum na rahe
Ek teri yaari ka hi
 Saaton janam haqdaar hoon main
 Tera yaar hoon main…
Tera yaar hoon main…
 Tera yaar hoon main…
Tera yaar hoon main…
Written by:
 Kumaar
Music Video Of: Tera Yaar Hoon Main