Singer | Akhil Sachdeva |
Language | Bhajan |
Hey Gangadhar Gaurishankar
Tere rini hai hum
Hey Omkara hum bhakton par
Prem na karna kam
Bhool se kabhi na bhoolna tu
Bhool se kabhi na bhoolna tu
Sudh aatho pehar rakhna
Baba Bhole Baba
Zara humpe nazar rakhna
Santaan ke sukh dukh ki
Thodi si khabar rakhna
Baba Bhole Baba
Zara humpe nazar rakhna
Kismat ki tarah Shambhu
Maathhe pe likha hai tu
Bas yaad rahe hai itna Baba
Hum sabka pita hai tu
Dukh dard daraaye to
Seene se laga lena
Jhukne ke din aaye to
Charno mein jhuka lena
Aata hi nahi humko Baba
Aata hi nahi humko Baba
Kahin aur yeh sar rakhna
Baba Bhole Baba
Zara humpe nazar rakhna
Santaan ke sukh dukh ki
Thodi si khabar rakhna
Baba Bhole Baba
Zara humpe nazar rakhna
Baba Bhole Baba
Zara humpe nazar rakhna