Ads Place (Top)

aye momina suno

aye momina suno lyrics

Poster aye momina suno

aye momina suno

lyrics/Album : Daku Bijlee
Details
Singer Mohammed Aziz
Genre Devotional
Language Hindi
Album Daku Bijlee
Poster aye momina suno
play
Lyrics

allah ke rasul ka farman aam hain

is naam mein namaaz ka

pehala makam hain


aye momina suno

yeh karamat namaaz ki

aye momina suno

yeh karamat namaaz ki

jannat mein le ke jayegi ye

aadat namaaz ki

jannat mein le ke jayegi ye

aadat namaaz ki

jannat mein le ke jayegi ye

aadat namaaz ki

aye momina suno

yeh karamat namaaz ki

aye momina suno

yeh karamat namaaz ki

aye momina suno


ek vakya sunata hoon namaaz ka

ek mozila bata hoon tumko namaaz ka

dilli mein ek ladki badi honhar thi

sirat mein badi nek ibbat gujar thi


ghar ghar namaaz ja

ke vo baccho ko sikhati

tasveer kiya karti thi

har waqt khuda ki

kahti thi ki khid mat

ka sabhak deti hain namaaz

saitan ko insan bana

leti hain namaaz

banda vahi hai jisko hain

chahat namaaz ki

aye momina suno

yeh karamat namaaz ki

aye momina suno

yeh karamat namaaz ki


ek roj uske chehere ki

jo khil gayi kali

mayake se doli uth gayi

sasural aa gayi

shadi ki raat mein bhi na

bhuli namaaz ko

shoher se kaha waqt e fazer

aap bhi pado

har haal mein namaaz

musalma ka farz hain

jab tak ye zindagi hain

khuda ka ye karz hain

bola ke is namaaz se

kuch fayada nahin

phir gis rahi hain kis liye

tu apni ye jewi

dil mein nahin thi

uske mohabbat namaaz ki

aye momina suno

yeh karamat namaaz ki

aye momina suno


dil par ek aur chot lagi

jab pata chala

khavind uska roj

khela kata hain jua

boli ye jua haram hain

ye khel hain bura

par vo na mana gahne

sab bechne laga

kuch din ke baad

ek chand sa beta hua paida

bete ko maa ne paya to

ghum hua halka

ghur waqt mein bit gaye

pure teen saal

sohar ka tha na biwi na

bache ka kuch khayal

muskil mein kaam aati hain

takat namaaz ki

aye momina suno

ye karamat namaaz ki

aye momina suno


ek raat vo tandoor

jalane ko jab uthi

tandur ke jalte hi

ajaa fajal ki hui

karke waju musalle pe

jakar khadi hui

ruhani mato se

wo masrur ho gayi

itne mein uska ladla

rota hua aaya

rota hua aage se

wo uske nikal gaya

jalte hue tandur mein

wo bacha gir gaya

bache ki chikh sun ke

wo sohar bhi aa gaya

manjar ye dekhte hi

tadap kar vo rah gaya

bache ko jalte dekh ke

chilla ke vo peda

tandur se jis

waqt bache ko nikala

hath uske dono jal gaye

chehera jhulas gaya

sajade mein maa padi thi

aur bacha gaya tha mar

mashul thi namaaz mein

usko na thi khabar

usne salam pher ke

jab ki udhar nazar

bache ki lash dekhke

dil aaya uska bhar


sohar ne dekha biwi

ko gusse se ye kaha

tu hi bata namaz ka

ye kya mila sila

bache ki jaan le li hain

teri namaz ne

tujhko saja de di hain

teri namaz ne

wo dono hath bandhe

musalle pe thi khadi

sohar ke tane sunte hi

bijli si gir padi

darbar ilahi mein

jo usne uthaye hath

boli ki ami to khoyi thi

tere karam ke sath

ye kya kiya tune to

meri god hi ujad di

parwar dagar tune to

achhi ye saja di

ankho se uske sabar ke

aansoo nikal pade

aasu nikal pade to

musalle pe gir gaye


ya rab mer inamaz ki tu laz bachale

sajde mein mohamad ke

tu ab jalwa dikhade

itne mein asmmaa mein

andhera sa chha gaya

bijli kadak uthi aur buhal aa gaya

phir jhoom ke rahmat ka

wo badal baras pada

sohar bhi achha ho gaya

bacha bhi ji utha

ammi pukarta hua is im pe chal pada

aur jakar maa ki god mein

bacha machal pada

ma ne gale laga liya aur pyar kar liya

allah ke huzur mein saujda ada kiya

biwi ko dekhte hi sohar bhi ro pada

biwi se aur bache se jakar lipat gaya


bola mujhe khuda ke liye maf kijiye

jo chahe is khat ki saja aap dijiye

apne kiye pe aaj woh sarminda ho gaya

saitan se wo allah ka wo banda ho gaya

tauba meri kubul kare paak benihaj

main bhi padunga

aaj se har waqt ki namaj

do jaft ki ankh bhal usko kya jalayegi

mathe pe kiske likhi ho barkat namaj ki

eye mohmillo suno ye karmat namaj ki

jannat mein le ke jayaegi adat namaj ki

jannat mein le ke jayaegi adat namaj ki

eye mohmillo suno ye karmat namaj ki

eye mohmillo suno


sajde mein jo bhi

aa gaya allah ko pyara

jannat mein jayega wo

mohamad ka dulara

shan hai sahadat namaj ki

eye momina suno.

You May Also Like (Similar)

Advertisement
Ads Place (Sidebar)
Note: From this website you will get free lyrics facility. The files are not hosted by us.
Rules: videos/lyrics will be for personal use only / you cannot redistribute them / delete them from hard disk after 24 hours (if you do not agree, close this window)
Ads Place (Footer)