| Singer | Lata Mangeshkar | 
| Language | Bollywood | 
Aurat ne janam diya mardo ko
 Mardo ne use bazar diya
 Jab ji chaha masla kuchla
 Jab ji chaha dutkar diya
 Aurat ne janam diya mardo ko
 Tulati hai kahi dinaro me
 Bikti hai kahi bazaro me
 Nangi nachavai jati hai
 Aiyyasho ke darbaro me
 Ye vo beizzat chiz hai jo
 Bat jati hai izzatdaro me
 Aurat ne janam diya mardo ko
Mardo ke liye har zulm ravaan
 Aurat ke liye rona bhi khata
 Mardo ke liye lakho seje
 Aurat ke liye bas ek chita
 Mardo ke liye har aish ka haq
 Aurat ke liye jina bhi saza
 Aurat ne janam diya mardo ko
 Jin hotho ne inko pyar kiya
 Un hotho ka vyapar kiya
 Jis kokh me inka jism dhala
 Us kokh ka karobar kiya
 Jis tan se uge kopal ban kar
 Us tan ko zalil-o-khar kiya
 Aurat ne janam diya mardo ko
Mardo ne banayi jo rasme
 Unako haq ka farmaan kaha
 Aurat ke zindaa jalne ko
 Kurbani aur balidaan kaha
 Kismat ke badle roti di
 Usako bhi ehsaan kaha
 Aurat ne janam diya mardo ko
 Sansaar ki har ek besharmi
 Gurbat ki god me palti hai
 Chakalo me hi aa ke rukati hai
 Faako se jo raah nikalati hai
 Mardo ki havas hai jo aksar
 Aurat ke paap me dhalti hai
 Aurat ne janam diya mardo ko
Aurat sansaar ki qismat hai
 Fir bhi taqdir ki heti hai
 Avatar payambar janati hai
 Phir bhi shaitan ki beti hai
 Ye vo badaqismat maa hai jo
 Beto ki sez pe leti hai
 Aurat ne janam diya mardo ko
 Aurat ne janam diya mardo ko
 Mardo ne use bazar diya
 Jab ji chaha masla kuchla
 Jab ji chaha dutkar diya
 Aurat ne janam diya mardo ko.
Music Video Of: Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko